Marsiya Text
(Salaam)
Ro ro maqtal mein kehti thi Zainab bhaiyya baali Sakina kahan hae
Jaake dhoondhun kahan usko bun mein shab hae taareek sannata run mein
Hookh uthti hae mere badan mein bhaiyya baali Sakina kahan hae
Uth ke dariya se Abbas aao saath Akbar ko turn letey aao
Dhoond kar turn Sakina ko laao bhaiyya baali Sakina kahan hae
Ho chuki run mein sham-e ghareeban fouje aada mein ab hae chiraagan
Kooch ke ho rahe hai yeh saaman bhaiyya baali Sakina kahan hae
Bhaiyya dekho toh qismat hamari jayegi kis tarha yeh sawari
Hogi mehmil na ab woh amaari bhaiyya baali Sakina kahan hae
Laashe besar se aawaz aayi gham na khao aye amma ki jaayi
Aao behna bulaata
hai bhayi
meri baali Sakina yahan hae
Rothay rothay jo neend aagayi hai gham ke toofan mein woh
kho gayi hai
Mere seene pah woh so gayi hai
meri baali Sakina yahan hai
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery