Marsiya Text
(Salaam)
Rasane zulm mein nanhi si kalaayi hogi
Mujraee kaise Sakina ko kal aai hogi
Naujawan ne joh sina seene pah khayi hogi
Mujraee qaime se Zainab nikal aayi hogi
Shabe ashoor yeh aati thi sadae Zehra
Subah ko mere bhare ghar ki safayi hogi
Bibiyan kehti thi yeh raat ghanimat jano
Kal toh ek jaan pah lakhon ki chadhayi hogi
Kya uthe hoenge Zainab ke jigar se sholay
Aah jab masnade Shabbir jalaayi hogi
Naatawan dekh ke Abed ko yeh bole raah geer
Hae kisne useh zanjeer pehnayi
hogi
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery