Marsiya Text
(Salaam)
Misaale badr joh haasil huva kamaal mujhe
Ghata ghata ke falak ne kiya hilaal mujhe
Teri madad ka faqath Ya Ali bharosa hai
Kisi ki aas nahin waqte inteqaal
mujhe
Kareem joh tujhe dena ho betalab dedey
Faqeer hoon pa nahin haajate sawaal
mujhe
Kisi ke saamne kyon jaake haath phailaaoon
Mera kareem jo deytah hai bay
sawaal mujhe
Hussain kehtey thay pushtay faras se girtah hoon
Madad ka waqt hai ae bekasi
sambhaal mujhe
Hussain kehtey thay parwardigaar rahiyo gawaah
Ke qatl kartey hain naahaq
yeh badh qisaal mujhe
Andheri qabr mein mushkil Anees ko hai bohath
Dikhaadoh Ya Ali ab chaand sa
jamaal muhjhei
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery