Marsiya Text
(Hazrat Ali)
Imaan ki jaan kya hae muhobbath Ali ki hae
Rahat jo qabr ki hae woh
ulfath Ali ki hae
Sa-il bakaf hain sab woh saqawath Ali ki hae
Qatil ko di
aman woh murawath Ali ki hae
Aadil ho peshwa ho madarul maham ho
Gar ho nabi ke baad toh aisa imam ho
Sadqe ghulam teri museebat ke ya Ali
Ae janasheen janabe risalat ke ya Ali
Qurban lahoo bhari teri soorath ke ya Ali
Ayyam hae yeh teri shahadath ke ya
Ali
Yeh zulm be jahat yeh sitam be sabab hua
Talwar tere sar peh lagi kya ghazab
hua
Unnesween se aapka matam hae ya Ali
Qoon ho gaye diloun ka yeh aalam hae ya
Ali
Daftar jahan ka darham-o-barham hae ya Ali
Mahe siyaam mahe muharram hae
ya Ali
Moula ki nazr ko gohare ashk laye hain
Yeh rozedaar aapke pursey ko aaye
hain
Moula shigaaftha huva sajde mein sar tera
Syed tabaah ho gaya Koofe mein
ghar tera
Sarwar alam diloun ko hae sham-o-sehar tera
Aaqa inhi dinoun mein
huva tha safar tera
Aalam se beqabar they quzoo-o-qushoo mein
Talwar jab lagi thi jhuke they
rukoo mein
Ghar mein Quda ke qatl hua rozedar haye
Hae hae imam haye shahe zulfiqaar
haye
Ae qana zadeh haq shahe ta-ath guzaar haye
Mouladh haram mein hae toh
Najaf mein mazaar haye
Yeh bandagi nisare janabe Ameer ke
Nikle toh ghar se
marke Quda-e-Qadeer ke
Laya tha zeher mein woh jafa joh bujha ke tegh
Moula gire zameen peh sajde
mein khake tegh
Gul padh gaya ke sar peh lagi Murtuza ke tegh
Khayi Quda ke
sher ne ghar mein Quda ke tegh
Gehra hae zakhm farqe imame hijaaz par
Sar se
tapak raha hae lahoo janamaaz par
Shere Quda jo haathon se thamay thay apna sar
Khoon dono kohniyon se tapakta
tha qaak par
Bhaaga jo ibne muljim-e maloon-o-badsiyar
Pakda useh Ali ke
muhebbon ne daudh kar
Laaye joh haath baandh ke Moula ke saamne
Qatil pah muskura ke nazar ki imam
ne
Farmaya maine kounsi ki thi teri qata
Paadaash nekiyon ki yehi hae jahaan
mein kya
Kya mein bura imam tha ae baniye jafa
Roya jo sar jhuka ke toh
moula ne yeh kaha
Is dard mein bhi sabke marz ki dawa hain hum
Bandho na iske haath ke mushkil
kusha hain hum
Dono shabein Ali ko tadapte hui basar
Lethay thay is taraf kabhi karwat
kabhi udhar
Rokar dabaate paon jo Shabbir -e naamwar
Rah jaathay they imam-e
doh aalam hila ke sar
Roodaadh thi nazar mein mujassim Hussain ki
Awaaz sun ke rotay thay Zainab
ke bain ki
Jab beesween ka din bhi tadap kar huva tamam
Ummul baneen se chownk ke kehne
lage imam
Doh din se aah sab mere bachhe hain be ta-aam
Faqe mein in peh
guzregi kya aaj ki bhi shaam
Achha hoon ab toh mein yeh abas beqaraar hain
Khana inhe khilao ke sab
rozedaar hain
Bole Hussain baap se haathoun ko jodh kar
Sab khaen phir jo aap tanavul kare
agar
Farmaya rizq uth gaya majboor hae pidar
Pani bhi ab gale se utartha
nahin pisar
Dawat Ali ki aaj hae ghar mein Ilaah ke
Roza khulega saath risaalath panah
ke
Chup hogaye yeh kehkar shahenshahe kaenaath
Samjhe yeh sab ke ghash mein
hain Shahe niko-sifaat
Jis waqt baaqi rah gayi kuch kam ghadi woh raat
Tegh-e
ajal ne qatta kiya rishta-e hayaath
Tadka tha noor ka ke safar kar gaye Ali
Sab shia bay imam hue mar gaye Ali
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery