Marsiya Text
(Shahzade Ali Asghar)
Haye kis bekaso mazloom ka yeh maatam hae
Fatema aayi hae ronay ko yeh
kiska gham hae
Nangojfsar saath hain hoorein bhi ajab aalam hae
Ronay waloun
se yeh irshad bhi toh paiham hae
Ronay walo tumhe ronay ka sila dene ko
Fatema aayi hae turn sabko dua dene ko
Aey azadaro tumhe qaliqe Akbar ki qasam
Kaun mazloom hae woh tumko payambar
ki qasam
Naam low uska zabaan se tumhe Hyder ki qasam
Be zubaan hansliyon
waale tumhe Asghar ki qasam
Rokay kehdo koi bekaso maghmoom nahin
Juz
Hussain Ibne Ali aur koi mazloom nahin
Yahi mazloom Madine ka hae rahne waala
Ek saydani ne faaqon mein jise tha
paala
Teesre burje imamat ka yahi hae haala
Ek bekas pah sitam hae yeh falak
ne daala
Subah se asr talak ghar ko lutaya isney
Margaye sab toh gala apna kataya
isney
Haan payambar ke Madine ka musafir hae yehi
Apne nana ki lehad ka bhi
mujawar hae yehi
Jisko pani na mila ta dum-e-aqir hae yehi
Jis pah sadqa
huve Ayub wo Sarwar hae yehi
Bekaso bewatano tashna dahan kehte hain
Isi mazloom ko mohtaje kafan kehte
hain
Ya Hussain aapki mazloomio ghurbat ke nisaar
Sar ko katwa diya kis shaan
se himmat ke nisaar
Tahe qanjar bhi kiya sajda ibadat ke nisaar
Nangay sar
dekha na hamsheer ko ghairat ke nisaar
Hoon fida aap pah moonh ashkon se
dhone waale
Ya Hussain aap pah sadqe ho yeh ronay wale
Dekha is bekaso mazloom ki shane ghurbath
Chote bete ki lahad khodi hae uf
ray himmat
Kaampte haathon se aaqa ne banai turbat
Kya kahein kis se kahein
qalb ki apni haalath
Chand ko apne tahe qaak chupaya hae abhi
Hansliyon waale ko turbat mein
sulaya hae abhi
Kis qadar bekas-o majboor tha yeh shahe gharib
Na kafan chote se sayyad ka
hua usko naseeb
Sar ko katwae hue sote hain sab uske habeeb
Pyaas se teen
shab-o roz se haalat hae ajeeb
Ya Ali kehke sambhala hae dile muztar ko
Qoon bhare kurte mein dafnaya Ali
Asghar ko
Roke dete hain sada ae mahe anwar bolo
Ae mere chote shaheed ae mere dilbar
bolo
Baap ko chod ke tanha gaye kyonkar bolo
Dard kaisa hae gale mein Ali
Asghar bolo
Goadh mein baith ke sab haal sunana beta
Teer ka zaqm bhi dadi ko dikhana
beta
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery