Marsiya Text
(Janab-e-Syedda)
Bilqees paasbaan hae yeh kiski janab hae
Maryam duroodqan hae yeh kiski
janab hae
Shane Quda ayaan hae yeh kiski janab hae
Dehleez aasman hae yeh
kiski janab hae
Kursi zameen se lethi hae goshe panah ke
Baitha hae arsh saaye mein kis
baargah ke
Ulfat Quda ke baad habeebe Quda ki hae
Munsif ke pas yeh bhi vila kibriya ki
hae
Parwaa na faaqe ki na shikayat ghiza ki hae
Eeza faqat judaai-e
qairulwara ki hae
Aabo ghiza ki fikr na sone ka dhyan hae
Ankhon mein shakl baap ki ronay ka
dhyan hae
Bete pukaarte hain ke lillah baahar aao
Amma na itna ro-o ghulamoun peh
rahem khao
Nana kahan gaye hain bula laye hum batao
Hum kapde phaadte hain
nahin toh gale lagao
Nana ke baad haaye yeh beqadr hum huve
Sab ek taraf huzoor ke bhi pyar kum
hue
Aqir wafoore girya se aajiz huve Arab
Hyder ke pas ronay ki faryaad laye sab
Ki arz Fatima se kaho ae wali-e-rab
Ya Syedda tumhari raiyath hae jaan balab
Khane ka koi waqt na sonay ka waqt hae
Jo waqt hae woh aapke ronay ka waqt
hae
Baher se Murtuza gaye ghar mein jhukaye sar
Moonh dhanpe ro rahi thi
akeli woh qushsiyar
Dene lage payame Arab shahe bahrobar
Ghabrake boli hai
karoon kya mein bepidar
Qaabu mein mauth huve toh marjaaon ya Ali
Baba ka soag leke kidhar jaoon ya
Ali
Meri taraf se ahle Madine ko doh payam
Logo qafa na ho meri ruqsat hae
subho-shaam
Doh chaar din tumhare mohalle mein hae maqaam
Ronay ki dhoom ho
chuki ab kaam hae tamaam
Ghabrati hoon watan mein safar ke maheene se
Baba sidhaare kaam mujhe kya
Madine se
Ek din nigah karte hain kya shahe la-fatah
Mathbaqh hae garm aaridey joh hai
gundha hua
Nahla rahi hae bachoun ko mal mal ke dast-o-pa
Phaila diye hain
kurte bhi dho kar juda juda
Poocha ke itne kaamon ka jo shagl aaj hae
Is waqt kuch bahaal tumhara mizaaj
hae
Boli ke aaj raat ko ho jaoongi bahaal
Kal mere kaarobar mein turn honge qud
nidhaal
Qidmath ka mere bachhoun ki hoga kise khayaal
Nehla dhula diya ke
pareshaan tha unka haal
Kurte bhi dhoye khooth bhi kal tak ka de chali
Sehra na dekha ek yeh armaan
le chali
Phir toh har ek mohalle mein mahshar bapa hua
Apne paraaye daude ke hae
hae yeh kya hua
Fizza pukari Syedda ka waqia hua
Hujra Batoole paak ka
maatam sara hua
Chaati qalaq se dekhne waalon ki phat gayi
Moonh rakhke moonh peh murde ke
Zainab lipat gayi
Mein doodh baqshwane na paayi ke chal basee
Sherbat bana ke lane na paayi ke
chal basee
Kuch haale dil sunaney na paayi ke chal basee
Mein be-naseeb aane
na paayi ka chal basee
Kya jald tar zamaana hua inteqaal ka
Hae hae abhi toh
sin tha kul athara saal ka
Ae meri faaqa kash men nadaar ammajaan
Ae meri be-dawa meri beemaar ammajan
Kaabe ki aabroo meri sardaar ammajan
Ae meri sabera meri nachaar ammajan
Nana moovi toh thi koi taaza qitaab doh
Amma jawab doh meri amma jawab doh
Nanhe se sar khule hain nahin sar peh topiyaan
Kehte hain kuch toh moonh se
nikalta haaye maan
Likha hae jab janaze pah pahoonche woh neem jaan
Hasrath
se dekha murde ka moonh aur yeh ki fughaan
Amma ghulam aaye hain ruqsat ke waastey
Jaati ho turn nabi ki ziarat ke
waastey
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery