Marsiya Text
(Salaam)
Ghabraaegi Zainab dukh payegi Zainab
Bhaiyya tumhe ghar jaake kahan payegi Zainab
Kaisa yeh bhara ghar huva barbaad ilaahi, kya aayi tabaahi
Ab isko na aabaad
kabhi payegi Zainab
Phat jayega bas dekhte hi ghar ko kaleja, yaad aaoge bhaiyya
Dil dhoondhega
tumko toll kahaan payegi Zainab
Bin bachhon ke kehlaayi toh kehlaayi mein laikin, yeh kaise ho mumkin
Bin
bhai ke kehlaayi toh marjayegi Zainab
Poochenge joh sab loug ke baazu ko huva kya, yeh neel hae kaisa
Kis kis ko
nishan rassi ke dikhlaegi Zainab
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery