Marsiya Text
(Salaam)
Darouna jungle hae raat andheri sitaare kuch jhilmila rahe
hain
Padey hain rethi pah chand laashe joh apna gham aap kha rahe hain
Hae aisa bigda huva zamana na gore hae aur na shamiyana
Falak pah abre
siyaah ke lakke udaasi bun bun ke cha rahe hain
Na koyi zaqmoun ka dhone wala na koi murdoun pah ronay wala
Parind kuch kar
rahe hain naalay darindh kuch qaak uda rahe hain
Shikista hathyar kuch padey hain yeh loug shayad yahan lade hain
Laday toh
woh honge joh badey hain nazar toh bachhe bhi aarahe hain
Yeh run joh is waqt bolta hae unhee shaheedon ki yeh sada hae
Ke apni
haalath pah reham khaane yeh rehruoun ko bula rahe hain
Yeh loug hain kaun khandaan ke joh koyi pooche toh kis se poochey
Musafir
aatey hain joh idhar se woh raah katrah ke ja rahe hain
Haram pah kya guzri baad inke nahin zaroorat ke koi bole
Jale huve joh pade
hain qaime khud unka lutna batah rahe hain
Shifa-ate hashr karne wale kahen woh joh kar guzar ne wale
Ghayoor hain yeh
woh marne wale joh hum ko ab tak rula rahe hain
Home | The Holy Quran | Marsiye | Majalis | Nauhay | Qasiday | Munajat | Duas | Books | Islamic Gallery